|
tere inkaar mein tera izhaar chupa hai
teri dhadkano mein mera pyaar chupa hai
tu laakh chahe kar le koshish jaane ki dur mujhse
bekhabar tujhse teri sansoo mein mera ahesaas chupa hai |
|
dard dena meri fitrat
nahi, muhabbat say muhabbat ki hai maine dilon ko rulana
meri aadat nahi, muhabbat ki zubaan seekhi hai maine phir
bhi aye dost, gar bana hu main wajaah tere tute dil ki
kabhi samajh kar tujhko apnasa, bheja hai maafi ka ariza maine abhi abhi. |
|
karke aitbaar mukammal tujh per
dil k aashiyaney mein basaya hai tujhko viraan na kar dena
is aashiyaney ko badi muddat k baad koi apna dil ki galiyon mein aya hai |
|
har yaad ko teri, seeney mein daba
kar rakha tha mainey khud ko bin tere aazmaney k liye
dil ney pukara tujhko sunkar dhadkano ki sada hui naakaam har koshish tujhe bhulaney k liye. |
|
tu laakh chahey dafn karley jazbaat
dil mein apney chahey see ley hoton ko apney khamoshi
say aaina bankar teri aankhen hal-e dil bayaan karti hai |
|
na kar sakth itna dil ko apney k
woh hosh mein na rahe paye chookar chala jaye koi apna,
dil ko tere aur us ahesaas ko bhi tu mahesoos na kar paye |
|
tu itna mujhko yaad na ayaa kar k
bin tere jine ka tasawur bhi na kar saku paas tere hokar
bhi ye aalam hai na jane teri judai, kya haal bana degi mera |
|
jab tak sanso mein meri saans
rahegi yaadon may meri hamesha teri yaad rahegi jab
guzar k main jaoonga uske darbar may tujhsay juda karney ki mjhko, us say fariyad rahegi |
|
itna pyaar tujhey dene ki hasrat hai
meri k bhool jaye tu har gham apna dekh kar mujhko
guzrey har gham tera hokar meri galiyon say is tarah k tabdeel ho jaye woh khushiyon mein tujhko choone say pahele |
|
meri dhadkano mein sama gayi hai
tu mera tasavvur ban gayi hai tu tanha lamho ki yadein
ban gai hai tu na jane kahan le jayega mujhe ye dewanapan
mera ab to khuda ke baad meri ibaadat ban gayi hai tu |
|
umr bhar saath tere hone ki khwahish
hai najane kyun lag raha hai mujhko kuch aisa k fanah ho jaoonga tujhko paane ki hasrat mein. |